Qurani maloomat Part 03
Qurani maloomat
Part 03
⭐ Quran mein 20 Sureh aise hain Jo QASAM se shuru hote hain.
⭐ Quran ke 5 sureh Aise hain Jo QUL (قل) se shuru hote hain.
⭐ Quran mein jumla 29 Sureh Huroof e Muqatta'aat jaise (جیسے الم، ن) se shuru hote hain.
⭐ Surah Zumr (زمر) ki pahli aur Aakhri Ayat mein Lafz ALLAH aaya hai.
⭐ Surah Mujadila ki tamam Aayato mein Lafz ALLAH aaya hai.
⭐ Quran ke 30 (aakhri Para) mein jumla 37 sureh hain.
⭐ Sureh DAHER Ahlebaith (a.s) ki shaan mein nazil hua hai.
⭐ Shaam mein Noke neza se Sare Mubarak e Imam Hussain (a.s) ne Sureh Kahaf ki Ayat number 9 ki Tilawat ki thi.
⭐ Aaye Wilayat sureh Maida ki ayat number 55 hai.
⭐ Surah Noor ki ayat number 31 Hijab ke bare mein hai.
0 Comments